raat andar utar ke dekha hai kitna hairan-kun tamasha hai ek lamhe ko sochne wala ek arse ke baad bola hai mere bare mein jo suna tu ne meri baaton ka ek hissa hai shahr walon ko kya khabar ki koi kaun se mausamon mein zinda hai ja basi dur bhai ki aulad ab wahi dusra qabila hai bant lenge nae gharon wale is haweli ka jo asasa hai kyun na duniya mein apni ho wo magan us ne kab aasman dekha hai aakhiri tajziya yahi hai 'malal' aadmi daeron mein rahta hai