khamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum gahre samundaron mein safar kar rahe hain hum sadiyon tak ehtimam-e-shab-e-hijr mein rahe sadiyon se intizar-e-sahar kar rahe hain hum zarre ke zakhm dil pe tawajjoh kiye baghair darman-e-dard-e-shams-o-qamar kar rahe hain hum har chand naz-e-husn pe ghaalib na aa sake kuchh aur marke hain jo sar kar rahe hain hum subh-e-azal se sham-e-abad tak hai ek din ye din tadap tadap ke basar kar rahe hain hum koi pukarta hai har ek hadse ke sath takhliq-e-kaenat-e-digar kar rahe hain hum ai arsa-e-talab ke subuk-sair qaflo thahro ki nazm-e-rah-e-guzar kar rahe hain hum likh likh ke ashk o khun se hikayat-e-zindagi aaraish-e-kitab-e-bashar kar rahe hain hum takhmina-e-hawadis-e-tufan ke sath sath batn-e-sadaf mein wazn-e-gohar kar rahe hain hum hum apni zindagi to basar kar chuke 'rais' ye kis ki zist hai jo basar kar rahe hain hum