raat apne badan ki khushbu se kash mahkati sab ki sanson ko kash har rang se sajata main apni ghazlon ko apni nazmon ko kash har karobar-e-duniya mein ras aae qarar nazron ko kash hum hote bartari ki misal khar karte na apne sajdon ko kash aadam ko sajda karne par rashk aata sabhi farishton ko kash hum apni qadr karte aap bakhshte iftikhar naslon ko kash firqon mein hum na yun 'asim' bantte apne pyare bachchon ko