ghairon ki anjuman mein mera hi tazkira ho ye baat to ghalat hai jo kuchh suna hai main ne tum ne nahin suna ho ye baat to ghalat hai sazish ka silsila hai shaitan hans raha hai insan so raha hai jo aaj ho raha hai kal bhi nahin hua ho ye baat to ghalat hai is daur ki siyasat makkariyon ka tufan khud-gharziyon ki aandhi jo muntakhab hua hai wo shakhs parsa ho ye baat to ghalat hai jamhuriyat ke mohre rahbar bane hue hain kam-zarf khud-nigar hain un se kabhi kisi ka koi bhala hua ho ye baat to ghalat hai aankhon mein garm aansu sinon mein sard aahen majbur iltijaen duniya ki gardishon se insan bach gaya ho ye baat to ghalat hai wo daur tha nirala suqraat ne piya tha jab zahr ka piyala is daur mein bhi munsif zalim ka ham-nawa ho ye baat to ghalat hai meri khushi se na-khush aur mujh se bad-guman hai dushman nahin to kya hai meri tabahiyon par wo khush nahin hua ho ye baat to ghalat hai dil manta nahin hai par aql ko yaqin hai haq baat bhi yahi hai kahte hain jis ko insan mahrumi-e-ana ho ye baat to ghalat hai nazron se dur ho kar kis haal mein hai koi 'kausar' ye kaun jaane lekin nazar ke aage ham-saya jal raha ho ye baat to ghalat hai