raat be-parda si lagti hai mujhe khauf ne aisi nazar di hai mujhe aah is masum ko kaise bataun kyun use khone ki jaldi hai mujhe josh mein hain is qadar timardar thik hote sharm aati hai mujhe ek latifa jo samajh mein bhi na aae us pe hansna kyun zaruri hai mujhe muntashir hone lage sare khayal nind bas aane hi wali hai mujhe ab junun kam hone wala hai mera khair itni to tasalli hai mujhe lakh maddham ho teri chahat ki lau raushni utni hi kafi hai mujhe gard hai barud ki sar mein to kya maut ek afwah lagti hai mujhe