khatm is tarah naza-e-haq-o-baatil ho jae ek taraf donon jahan ek taraf dil ho jae dil mein wo shorish-e-jazbaat wo garmi na rahi ab ye shayad nigah-e-dost ke qabil ho jae jaanta hun ki wafa ji se guzarna hai magar yun na de tan ki jina mujhe mushkil ho jae do-jahan tark-e-mohabbat mein kiye tere liye aur bezar jo tujh se bhi mera dil ho jae qadr-e-insan hai abhi bazm-e-adam mein 'simab' kyun wo duniya mein rahe jo kisi qabil ho jae