raat bezar sa ghar se jo main tanha nikla chand bhi jaise mere gham ka shanasa nikla sar-ba-sar dub gaya raat ke sannate mein chandni jis ko main samjha tha wo dariya nikla dur se aai gali mein kahin qadmon ki sada apna ghar chhod ke mujh sa koi tanha nikla soi thi chandni patton se dhaki sadkon par ek jhonka sar-e-shab khak udata nikla samne ghar ke tere koi khada tha jaise wahm apna teri diwar ka saya nikla chandni rah-e-mulaqat mein diwar bani chand bhi jaise tera chahne wala nikla raat ke mod pe kaun aaina-bardar mila jis ko samjha tha teri yaad zamana nikla raat bhar mauj-e-hawa se teri khushbu aai chand-taron mein tera naqsh-e-kaf-e-pa nikla is bhare shahr mein hum chaak-e-gareban thahre jis ko dekha wahi sargarm-e-tamasha nikla hum to is dil hi ko samjhe the bayaban 'khawar' chand bhi dur tak ek rang ka sahra nikla