may ka aag lagata hua mahina tha

may ka aag lagata hua mahina tha
ghata ne mujh se mera aaftab chhina tha

baja ki tujh sa rafugar na mil saka lekin
ye tar tar wajud ek din to sina tha

use ye zid thi ki har sans us ki khatir ho
magar mujhe to zamane ke sath jina tha

ye hum hi the jo bacha lae apni jaan de kar
hawa ki zad pe teri yaad ka safina tha

nadi khajil thi ki bhigi hui thi pani mein
magar pahad ke mathe pe kyun pasina tha

tum un sulagte hue aansuon ka gham na karo
hamein to roz hi ye zahr hans ke pina tha

tamam-umr kisi ka na ban saka 'shabnam'
wo jis ko baat banane ka bhi qarina tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close