raat bhar furqat ke sae dil ko dahlate rahe zehn mein kya kya khayal aate rahe jate rahe sainkadon dilkash bahaaren thin hamari muntazir hum teri khwahish mein lekin thokaren khate rahe umr bhar dekha na apne chaak-e-daman ki taraf bas teri uljhi hui zulfon ko suljhate rahe jin ki khatir pi gae ruswaiyon ka zahr bhi wo bhari mahfil mein hum par tanz farmate rahe teri khatir ishq mein barbaad hona tha hue hum na mane log hum ko lakh samjhate rahe