aise ki mohabbat ko mohabbat na kahenge is aam inayat ko inayat na kahenge kahiye to kahun anjuman-e-ghair ko rudad kya ab bhi ise aap karamat na kahenge samjhenge na aghyar ko aghyar kahan tak kab tak wo mohabbat ko mohabbat na kahenge jab arbada-ju tum ho to kyun sabr sameten hum is mein raqibon ki shararat na kahenge hai yaad 'zahir' un ka shab-e-wasl bigadna wo talkhi-e-dushnam ki lazzat na kahenge