raat bhar jine se kya sham-e-shabistan ki tarah ek lamha hai bahut shoala-e-raqsan ki tarah dil ke zakhmon pe bhi phulon ka guman hota hai yaad aai hai teri mauj-e-bahaaran ki tarah kyun ho khamosh rafiqan-e-chaman kuchh to kaho subh-e-gulshan bhi na guzre shab-e-zindan ki tarah lazzat-e-dard ko arbab-e-hawas kya jaanen lazzat-e-dard ki arzan nahin darman ki tarah yurish-e-dard ne pindar-e-wafa tod diya hum bhi nadim hain bahut husn-e-pasheman ki tarah yaad rakhega sulagta hua mahaul hamein kharzaron mein rahe hum gul-e-khandan ki tarah tab-e-khuddar pe ek turfa sitam hai 'mohsin' un ka andaz-e-karam ghair ke ehsan ki tarah