tai kar chuke ye zindagi-e-jawedan se hum aage badhenge aur uthe hain jahan se hum kis ko sada den kis se kahen sath le chalo pichhe rahe ghubar-e-rah-e-karwan se hum dil mein jo dard hai wo nigahon se hai ayan ye baat aur hai na kahen kuchh zaban se hum chaunka diya qafas ne hamein gahri nind se wabasta ho chale the bahut aashiyan se hum gar aa bhi jae meri jabin tak wo aastan laenge sajda-rezi ki aadat kahan se hum faiz-e-junun se fursat-e-fariyaad hi na thi na-ashna hi rah gae tarz-e-fughan se hum dekhi hain hum ne un ki pashiman-nigahiyan kahna ho lakh phir bhi kahen kis zaban se hum