raat-bhar jo samne aankhon ke wo mah-para tha ghairat-e-mahtab apna daman-e-nazzara tha ban gae girdab sail-e-ashk jae gard-baad abr-e-tar ki tarah main jis dasht mein aawara tha tu ne aankhen pher lin yan kaam aakhir ho gaya tair-e-jaan pa-e-band-e-rishta-e-nazzara tha shab tere partaw se labrez-e-latafat tha chaman har gul-e-shabbu se jari nur ka fawwara tha mujh ko dam lene ki bhi fursat na duniya mein mili roz-e-maulid shadiyana kuch ka naqqara tha khurrami hoti hai bedardon ko sair-e-bagh mein hum ne jis gul par nazar ki ek gul-e-sad-para tha khwab mein bhi yar tak mumkin na tha dakhl-e-raqib jin dinon apna khayal akhbar ka harkara tha shab nazar ki main ne furqat mein jo su-e-asman azhdaha thi kahkashan aqrab har ek sayyara tha ai ajal di tu ne bar-e-jism se aa kar najat kab se meri pith par ye khak ka pushtara tha khauf sab jata raha dil se azab-e-hijr ka naqd-e-jaan dena gunah-e-ishq ka kaffara tha kahte hain mara gaya wo jurm-e-tegh-e-naz se kucha-e-qatil mein 'nasikh' nam jo bechaara gaya