khwabon ki ek bhid lagi hai jism bechaara nind mein hai aadha chehra nind se bahar aadha chehra nind mein hai ek ijlas tha diwanon ka jis ki ye rudad bani! sadiyon se bimar hai duniya aur masiha nind mein hai aahan-paikar aawazon par hum ne jinhen taskhir kiya sote sote chaunk uthte hain aisa dhadka nind mein hai haft-aflak ne dastak de kar puchha tha kis haal mein ho ek darwesh ne badh ke sada di ye sayyara nind mein hai pal bhar mein shoala bhadkega shahr khandar ho jaenge jalti shamen hath mein le kar ruh-e-zamana nind mein hai jag rahi hai ruh-e-ahan khwab mein hai insan ka zamir bedari ki sau lahren hain phir bhi ye duniya nind mein hai utthega aur lamha-bhar mein hashr bapa ho jaega har lamha aisa lagta hai koi fitna nind mein hai shahr-panah ki diwaron par ek duzdana aahat hai aur main us ko dekh raha hun shahr to sara nind mein hai