raat bhar suraj ke ban kar ham-safar wapas hue

raat bhar suraj ke ban kar ham-safar wapas hue
sham bichhde hum to hangam-e-sahar wapas hue

jalwa-gah-e-zat se kab khud-nigar wapas hue
aur agar wapas hue to be-basar wapas hue

thi hamein malhuz-e-khatir nek-nami is qadar
chum kar nazron se un ke baam-o-dar wapas hue

muzhda parwaz-e-adam ka hai ki rahat ki nawed
dam labon par hai to apne baal-o-par wapas hue

shauq-e-manzil tha kahan mujh sa kisi ka mo'tabar
do qadam bhi chal na pae ham-safar wapas hue

karwan se jo bhi bichhda gard-e-sahra ho gaya
tut kar patte kab apni shakh par wapas hue

subh dam le kar chali ghar se talash-e-rozgar
sham hum rukh par liye gard-e-safar wapas hue

zindagi mein aain subhen aur shamen bhi bahut
ahd-e-rafta ke kahan sham-o-sahar wapas hue

aakhirash bujh hi gaya hai khush-gumani ka charagh
tum bichhad kar phir kahan imkan bhar wapas hue

khush-gumani ka bharam rakkha nai pahchan ne
phir mere naghmon mein dhal kar sim-bar wapas hue

hosh se aari rahi diwangi apni 'zafar'
ba-khabar mahfil mein rah kar be-khabar wapas hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close