raat bhi nind bhi kahani bhi

raat bhi nind bhi kahani bhi
hae kya chiz hai jawani bhi

ek paigham-e-zindagani bhi
aashiqi marg-e-na-gahani bhi

is ada ka teri jawab nahin
mehrbani bhi sargirani bhi

dil ko apne bhi gham the duniya mein
kuchh balaen thin aasmani bhi

mansab-e-dil khushi lutana hai
gham-e-pinhan ki pasbani bhi

dil ko shoalon se karti hai sairab
zindagi aag bhi hai pani bhi

shad-kaamon ko ye nahin taufiq
dil-e-gham-ghin ki shadmani bhi

lakh husn-e-yaqin se badh kar hai
un nigahon ki bad-gumani bhi

tangna-e-dil-e-malul mein hai
bahr-e-hasti ki be-karani bhi

ishq-e-nakaam ki hai parchhain
shadmani bhi kaamrani bhi

dekh dil ke nigar-khane mein
zakhm-e-pinhan ki hai nishani bhi

khalq kya kya mujhe nahin kahti
kuchh sunun main teri zabani bhi

aae tarikh-e-ishq mein sau bar
maut ke daur-e-darmiyani bhi

apni masumiyat ke parde mein
ho gai wo nazar siyani bhi

din ko suraj-mukhi hai wo nau-gul
raat ko hai wo raat-rani bhi

dil-e-bad-nam tere bare mein
log kahte hain ek kahani bhi

waza karte koi nai duniya
ki ye duniya hui purani bhi

dil ko aadab-e-bandagi bhi na aae
kar gae log hukmarani bhi

jaur-e-kam-kam ka shukriya bas hai
aap ki itni mehrbani bhi

dil mein ek huk bhi uthi ai dost
yaad aai teri jawani bhi

sar se pa tak supurdagi ki ada
ek andaz-e-turkamani bhi

pas rahna kisi ka raat ki raat
mehmani bhi mezbani bhi

ho na aks-e-jabin-e-naz ki hai
dil mein ek nur-e-kahkashani bhi

zindagi ain did-e-yar 'firaq'
zindagi hijr ki kahani bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close