wo anjuman ho ki maqtal lahu lahu hi rahe jahan kahin bhi rahe hum to surkh-ru hi rahe wo daur hai ki gham-e-wasl-o-hijr ek taraf main sochta hun mohabbat ki aabru hi rahe na puchh hum se zamane ne kya suluk kiya bahut hai dil mein agar teri aarzu hi rahe ye mai-kada hai yahan khun-e-dil ki baat na kar yahan to tazkira-e-baad-o-subu hi rahe shab-e-firaq to aakhir guzarni thahri jo wo nahin na sahi us ki guftugu hi rahe khuda kare na kabhi lazzat-e-safar kam ho tamam-umr hamein teri justuju hi rahe bahaar aai bhi 'khawar' to kya bahaar aai chaman ke phul to mahrum-e-rang-o-bu hi rahe