raat chaupal aur alaw miyan ab kahan ganw ka subhaw miyan sher kahna to khair mushkil hai sher padhna hi sikh jao miyan dars-o-tadris jab ki mansab hai kuchh padho aur kuchh padhao miyan ye jo phaili to tum bhi jhulsoge aag ka khel mat rachao miyan ye safar dard ka hai raste mein kaisa rukna kahan padaw miyan