shahr lagta hai bayaban mujhe

shahr lagta hai bayaban mujhe
kahin milta nahin insan mujhe

main tera naqsh-e-qadam hun ai dost
apne andaz se pahchan mujhe

main tujhe jaan samajh baitha hun
apne sae ki tarah jaan mujhe

tu kahan hai ki tere parde mein
liye phirta hai tera dhyan mujhe

teri khushbu ko saba lai thi
kar gai aur pareshan mujhe

sar-o-saman-e-do-alam hun main
kyun kaho be-sar-o-saman mujhe

meri hasti tera afsana thi
maut ne de diya unwan mujhe

dil ki dhadkan pe guman hota hai
dhundhta hai koi har-an mujhe

main bhi aaina hun tera lekin
tu ne dekha kabhi hairan mujhe

un ki nisbat ka karishma hai 'zafar'
kahte hain yusuf-e-kanan mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close