raat dhalte hi safiran-e-qamar aate hain dil ke aaine mein sau aks utar aate hain sail-e-mahtab se jab naqsh ubhar aate hain os girti hai to paigham-e-sharar aate hain saat-e-did ka gulzar ho ya saya-e-dar aise kitne hi maqamat-e-safar aate hain jagti aankhon ne jin lamhon ko bikhra dekha wahi lamhe mere khwabon mein nikhar aate hain waqt ki lash pe rone ko jigar hai kis ka kis janaze ko liye ahl-e-nazar aate hain raat ki baat hi kya raat gai baat gai raat ke khwab kahin din ko nazar aate hain wadi-e-gharb se paiham hai andheron ka nuzul matla-e-sharq se paigham-e-sahar aate hain