raat ke dar pe ye dastak ye musalsal dastak aamad-e-subh-e-farozan ka pata deti hai phunk dalegi ye ek roz qaba-e-sayyaad aatish-e-gul ko saba aur hawa deti hai tirgi-zadon se kab nur ka sailab thame faisla waqt ka tarikh suna deti hai aanch aati hai sitaron se jo kuchh pichhle pahar khwab-e-shirin se nigaron ko jaga deti hai kitni nadida bahaaron ki tamanna-e-jawan daman-e-jaan mein mere aag laga deti hai sina-e-sang mein betab hai wo kawish-e-shauq jo haqiqat ko bhi khwabon ki ziya deti hai sham-e-mehrab-e-wafa ban ke hayat-e-ruswa dil-nigari ka meri kuchh to sila deti hai