raat din gadhte rahe yunhi fasane kitne dil ko bahlane ko dhunde hain bahane kitne khak-e-parwana udi sham-e-shabistan bhi bujhi rah-e-ulfat mein mite mujh se na jaane kitne sarguzasht-e-dil-e-barbaad sunane ke liye saz-e-ayyam pe bajte hain tarane kitne aarzu khak-basar aur mohabbat barbaad kishwar-e-husn mein ujde hain gharane kitne marg-e-amboh kabhi sham-e-ghariban hai kabhi zindagi mein hain abhi jashn manane kitne kabhi afsurda tabassum kabhi be-wajh malal rup dikhlae tere naz-o-ada ne kitne ek hum the ki rahe wasl se mahrum 'zubair' zulf-o-gesu se mahakte rahe shane kitne