raat din mahbus apne zahiri paikar mein hun shola-e-muztar hun main lekin abhi patthar mein hun apni sochon se nikalna bhi mujhe dushwar hai dekh main kis be-kasi ke gumbad-e-be-dar mein hun dekhte hain sab magar koi mujhe padhta nahin guzre waqton ki ibarat hun ajaib-ghar mein hun jurm karta hai koi aur sharm aati hai mujhe ye saza kaisi hai main kisi arsa-e-mahshar mein hun tujh ko itna kuchh banane mein mera bhi hath hai meri jaanib dekh main bhi tere pas-manzar mein hun mera dukh ye hai main apne sathiyon jaisa nahin main bahadur hun magar haare hue lashkar mein hun kaun mera pujne wala hai jo aage badhe main akela dewta jalte hue mandar mein hun