ufuq ke par utar jaun main irada hai magar ye umr hai kam aur safar ziyaada hai talab ke phul bichha dun main us ke raste mein wo ek shakhs jo sahra mein pa-piyaada hai kisi ka nam na tahrir aur na naqsh koi waraq kitab-e-tamanna ka kitna sada hai khud apne faisle karne hain zindagi mein mujhe main zindagi se na puchhungi kya irada hai nahin hai 'shahida' kuchh fikr apne gham ki mujhe mujhe to dusre logon ka dukh ziyaada hai