raat ek be-tab jazbe ki tarah dhalti rahi thak gae the shokh manzar aur faza thi so gai jugnu jugnu si chamak hai aaj palkon par saji shorishen ehsas ki shayad jawan hain aaj bhi irtikaz-e-fikr hai shayad bhatakti aagahi lamha lamha ruthti jae meri aawargi gungunati hai faza sad-barg si sad-rang si lamha lamha nachti hai fikr-o-fan ki tazgi khalwaton ki guftugu mein jalwaton ke rup mein nikhri nikhri si lage hai soch ki doshizgi qad mere takhil ka shayad chhalawa ban gaya uryan uryan si lage hai khush-libasi shauq ki shokh si murat ajanta ki khadi hai ru-ba-ru marmarin angdaiyon mein jalwa-gar hai shaeri phir dar-e-dil par hai shayad ek ijazat ki tarah khoi khoi dastakon ki ek thakan khamosh si jhan jhanan si ho rahi hai aaj phir man ke gagan har-nafas aawaz deti hai masafat dur ki ye nigahon ki nigahon se nirali guftugu phir sawalon ki jawabon se hui hai dosti maslahat to bil-yaqin kuchh aadatan majbur hai so gai hai aakhirash ab raat ki bhi tirgi dil ke andar mausam-e-sad-rang ki hain shorishen be-karan hai raushni bhi be-karan hai tirgi