phaili hui hai har-su dil-doz tirgi si allah-re wo udasi tute hue dilon ki kawish ke bankpan si an-thak si ek thakan si ek surkh-ru si saat ab ru-ba-ru khadi thi albeli chahaton si pur-kaif tishnagi si banhon mein bas gai thi ek aanch qurbaton ki gham-ha-e-zindagi se hai ru-shanas yun dil khushiyan nasib hon to lagti hain ajnabi si aahat pe kan har-dam tha intizar itna malum hi nahin tha ek umr kat gai thi ek narm-rau si nikhat kuchh kah gai hai dil ko ab yaad aa rahi hain tuti rifaqaten bhi gane lage sitare lori faza faza mein ab waqt ko bhi shayad kuchh nind aa gai thi dekha jo ghaur se to kirdar mein tere kuchh gahri si ek nisbat past-o-buland mein thi har subh chahti hai jalwe nae nae se har sham mangti hai qurbat kisi hasin ki ba-hosh jalwaton mein sarmast khalwaton mein nikhri supurdagi thi pur-kaif qurbaton ki kuchh khush-nasib lamhe jannat ki naghmagi se manusiyat halawat nuzhat rachi basi si ek unsuri tahaarat ruh-e-rawan hai yaksar ai ishq tere dam se jagmag hai zindagi ki kuchh zakhm zakhm jaisi kuchh marham-e-rifaqat kuchh khud se dushmani thi kuchh khud se dosti thi ab gunjta hai har-su ek aashti ka naghma ras aa gai hai shayad dil ko qalandari hi