raat gae yun dil ko jaane sard hawaen aati hain ek darwesh ki qabr pe jaise raqqasaen aati hain sada-lauhi ki nibtegi is rangin zamane se do aankhon ka pichha karne lakh adaen aati hain dhundh rahi hai mere tan mein shayad meri ruh mujhe apne sannaton se kuchh manus sadaen aati hain mera ek ek lamha karb liye phirta hai sadiyon ka ek duniya ke raste mein kitni duniyaen aati hain pahle sar se unchi lahron se bhi hum lad lete the ab to in sukhe honton par sirf duaen aati hain dasht-nawardi ke dauran 'muzaffar' sar par dhup rahi jab se kashti mein baithe hain roz ghataen aati hain