tere sath chehre hain mere sang aaina dekh aaj hota hai kis pe tang aaina bol khud-shanasi phir kis tarah se mumkin ho pesh kar raha ho jab sat rang aaina khud-parastiyon ne bhi khub raushni bakhshi ban gaya andheron mein ek sang aaina lakht-lakht aawazen fard fard pahchanen shor shor khamoshi wajh-e-jang aaina tere shahr ka qissa mere shahar ki gatha saf saf dhundhlahat zang zang aaina koi sa bhi paikar ho is ko dar nahin lagta kyun ki apni fitrat se hai dabang aaina mushtahar huin jab bhi ujli khwahishen 'parwez' kholta nazar aaya ang ang aaina