raat hum ne jahan basar ki hai ye kahani usi shajar ki hai ye sitare yahan kahan se aae ye to dahliz mere ghar ki hai nind kya kijiye ki aaankhon mein ek nai jang khair o shar ki hai mere kachche makan ke andar aaj taqrib chashm-e-tar ki hai hijr ki shab guzar hi jaegi ye udasi to umr bhar ki hai ishq apni jagah magar hum ne muntakhab aur hi dagar ki hai uth raha hai dhuan mere ghar mein aag diwar se udhar ki hai hum ne apne wajud ki chadar tang apne guman par ki hai wo sitara-shanas aisa tha ya kisi ne use khabar ki hai ja rahe ho kidhar 'rasa' mirza dekhte ho hawa kidhar ki hai