ruth jae wo mah-jabin na kahin lab pe aa jae phir nahin na kahin hum ne duniya ko chhan mara hai tujh sa dekha magar hasin na kahin teri jaanib se mujh ko khatka hai ghair ho jae dil-nashin na kahin shikwa dushman ka karte darta hun ho wahi mar-e-astin na kahin dil ko mere chura ke le jae wo but-e-sehr-afrin na kahin ye na kahiye kisi se ulfat se khaen dhoka yahan hamin na kahin muddaa dil ka kya kahen us se hum se bigde wo naznin na kahin dil kisi but ke dil se milta hai ek ho jaen kufr-o-din na kahin sher kahna samajh ke ai shankar koi mil jae nukta-chin na kahin