raat itni ja chuki hai aur sona hai abhi is nagar mein ek khushi ka khwab bona hai abhi kyun diya dil us but-e-kamsin ko aise waqt mein dil si shai jis ke liye bas ek khilauna hai abhi aisi yaadon mein ghire hain jin se kuchh hasil nahin aur kitna waqt un yaadon mein khona hai abhi jo hua hona hi tha so ho gaya hai dosto dagh is ahd-e-sitam ka dil se dhona hai abhi hum ne khilte dekhna hai phir khayaban-e-bahaar shahr ke atraf ki mitti mein sona hai abhi baith jaen saya-e-daman-e-ahmad mein 'munir' aur phir sochen wo baaten jin ko hona hai abhi