munh kahan ye ki kahun jaiye aur so rahiye khub gar nind hai to aaiye aur so rahiye takiya zanu ka mere kijiye be-khauf-o-khatar aap tashrif idhar laiye aur so rahiye aaj ki chandni wo hai ki kisi shokh ke sath khol aaghosh lipat jaiye aur so rahiye yun to hargiz nahin aane ki tumhein nind magar mujh se qissa mera kahwaiye aur so rahiye gham raha tha meri baaton ka tumhein kis kis din munh mera aap na khulwaiye aur so rahiye gar rahen hum bhi kahin paenti ab jaen kahan aap itna hamein farmaiye aur so rahiye bakht jage hain shab-e-mah mein jo yar hai pas chandni takht pe bichhwaiye aur so rahiye us ada ka hun main diwana ki angdai le mujh se kahta hai kahin jaiye aur so rahiye dar khuda ka hai nahin aur sanam ko le kar ek ja par tujhe dikhlaiye aur so rahiye tapish-e-ishq ki garmi se jale jate hain chhanw thandi kahin tuk paiye aur so rahiye ye bila fikr se kuchh ned hui hai 'hasan' ji mein aata hai ki kuchh khaiye aur so rahiye