raat ka wo pahar bhi aaega

raat ka wo pahar bhi aaega
jhumegi lau charagh gaega

ishq jab hum ko aazmaega
apni tarikh bhul jaega

jhut ko sach samajhne walon par
aaina qahqahe lagaega

sochta hun to khauf aata hai
tu bhi raste mein chhod jaega

wo to nadan hai koi roko use
wo zamane se haar jaega

hum ne pal pal ko aazmaya hai
ab hamein waqt aazmaega

hijr ki raat katne walo
kaun aata hai kaun aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close