raat karta tha wo ek murgh-e-giraftar se bahs main bhi ta-subh rakhi bulbul-e-gulzar se bahs nau-bahaaran mein wo ho jawe hai kyun surkh magar dagh-e-dil ko hai mere lala-e-kuhsar se bahs talib-ilm-e-mohabbat jo main tha tifli mein thi nit aankhon ki mere husn-e-rukh-e-yar se bahs sulh-e-kul mein meri guzre hai mohabbat ke bich na to takrar hai kafir se na din-dar se bahs sau zaban go huin munh mein tere ai ghuncha-e-gul tujh ko lazim nahin karna meri minqar se bahs shewa har-chand ki apna nahin talib-ilmi to bhi maujud hain hum karne ko do-chaar se bahs yun hui haar gale ka mere wo nargis-e-mast jun kare rah mein koi kisi hoshiyar se bahs hon wo diwana ki ek shab bhi jo main ghar mein rahun raat ko subh karun kar dar-o-diwar se bahs aql-e-kul ne nahin ilzam diya us ko husud dur ho, kar na abas 'mushafi'-e-zar se bahs