kuchh mauj-e-hawa pechan ai 'mir' nazar aai shayad ki bahaar aai zanjir nazar aai dilli ke na the kuche auraq-e-musawwar the jo shakl nazar aai taswir nazar aai maghrur bahut the hum aansu ki sarayat par so subh ke hone ko tasir nazar aai gul-bar kare haiga asbab-e-safar shayad ghunche ki tarah bulbul dil-gir nazar aai us ki to dil-azari be-hech hi thi yaro kuchh tum ko hamari bhi taqsir nazar aai