raat ke jangal mein koi rasta milta nahin aisa uljha hun ki ab apna sira milta nahin chup hain ab sare dariche band hain sare kiwad aur kisi diwar par koi diya milta nahin iztirab-e-arzu ka sath den to kis tarah dil purana ho chuka hai aur naya milta nahin jaane kis dariya se khushbu bandh kar lati hai ye dekhiye to jada-e-mauj-e-saba milta nahin munakis karta hai jaane kaun meri hairaten aaine ko tod kar bhi aaina milta nahin band hote ja rahe hain wapsi ke raste laut kar dekhun to koi naqsh-e-pa milta nahin man lo 'arman' ab khushbu ke rishte mar gae ab kisi gul ko kisi gul ka pata milta nahin