rang-e-mahfil se fuzun-tar meri hairani hai pairahan bais-e-izzat hai na uryani hai nind aati hai magar jag raha hun sar-e-khwab aankh lagti hai to ye umr guzar jaani hai aur kya hai teri duniya mein siwa-e-man-o-tu minnat-e-ghair ki zillat hai jahanbani hai chum lo us ko isi aalam-e-madhoshi mein aakhir-e-khwab wahi be-sar-o-samani hai apne saman mein tasawir-e-butan hain ye khutut kuchh lakiren hain kaf-e-dast hai peshani hai