raat ke parde mein ek nur ka sailab bhi hai dasht-e-zulmat mein kahin wadi-e-mahtab bhi hai bahr-e-pursish hi sahi aaj tera aa jaana ek hi waqt mein tabir bhi hai khwab bhi hai asliyat dekh mere chaak-e-gareban pe na ja ishq chahe to bahut sahab-e-asbab bhi hai tu ne socha hai kabhi jalwa-e-arzan ke asir jis ko mahtab samajhta hai wo mahtab bhi hai waqt ki tez rawani se hai dahshat warna yahi dariya jo thahar jae to payab bhi hai