tarikiyon mein jal ke wo qindil ki tarah sahra-badan se guzri hai ek jhil ki tarah kal raat mere jism ne mahsus ki thakan do-gam ke safar mein kai mel ki tarah be-tal ka ilaqa hai chalna sambhaal kar ulte latak na jao ababil ki tarah kal raat mujh pe hamla kiya ek khwab ne murda badan pe bhuki kisi chil ki tarah main tha nashe mein raat koi ru-ba-ru to tha lagta tha khadd-o-khal se jibril ki tarah