raat ke pichhle pahar jis ne jagaya kya tha koi aaseb-zada hijr ka saya kya tha na to hum samjhe na ki koi wazahat dil ne jaane apna tha ki wo shakhs paraya kya tha ye to sach hai ki labon ne na koi jumbish kei par nigahon ne jo paigham sunaya kya tha yun samundar ka hawa se to koi rabt na tha lahar ne phir bhi jo ye shor machaya kya tha wo jo ehsas-e-talluq tha talluq ke baghair us ne samjha na kabhi hum ne jataya kya tha