jinhen ki umr bhar suhag ki duaen di gain suna hai apni chudiyan hi pis kar wo pi gain bahut hai ye riwayaton ka zahar sari umr ko jo talkhiyan hamare aanchalon mein bandh di gain kabhi na aisi fasl mere ganw mein hui ki jab kusum ke badle chunariyan gulab se rangi gain wo jin ke pairahan ki khushbuen hawa pe qarz thin ruton ki wo udas shahzadiyan chali gain un ungliyon ko chumna bhi bidaten shumar hon wo jin se khak par numu ki aayaten likhi gain saron ka ye lagan ab ke fasl kaun le gaya ye kis ki khetiyan thin aur kis ko saunp di gain