raat ke sans ki mahkar se sarshaar hawa jagte shahr sula deti hai bedar hawa ho ke sairab kham-e-shab se sar-e-daman-e-gul surat-e-abr baras jati hai mai-khwar hawa jaane kis tarah khalaon mein dhanak banti hai chand ki rang bhari jhil ke us par hawa talib-e-mauj-e-sahar jati hai lahron pe sawar sahil-e-shab se uthati hai jo patwar hawa kitni yaaden hain ki jhonkon ki tarah tairti hain chhod aati hai safar mein jinhen manjdhaar hawa sar khule khak udati hui aangan aangan raat ke dard ka kar jati hai izhaar hawa chand ke ras mein bujhe lamhon ki tanhai mein zahr-e-hijran mein hai dubi hui talwar hawa kitne lamhe the ki ashkon ki tarah barse the raat guzri thi jo gati hui malhaar hawa zard shakhon ki patawar mein uthati hui hashr 'keats' ki nazm ka jaise koi kirdar hawa wo teri jhumti zulfon ka ghana jangal hai bhul jati hai jahan shokhi-e-raftar hawa aasman par safar-e-mauj-e-sahar se pahle roz utha deti hai ek rang ki diwar hawa