khud ko kitna chhota karna padta hai bete se samjhauta karna padta hai jab auladen nalaeq ho jati hain apne upar ghussa karna padta hai sachchai ko apnana aasan nahin duniya bhar se jhagda karna padta hai jab sare ke sare hi be-parda hon aise mein khud parda karna padta hai pyason ki basti mein shoale bhadka kar phir pani ko mahnga karna padta hai hans kar apne chehre ki har silwat par shishe ko sharminda karna padta hai