raat ke waqt koi git sunati hai hawa shakh-dar-shakh bhala kis ko bulati hai hawa sard raat apni nahin katti kabhi tere baghair aise mausam mein to aur aag lagati hai hawa ek manus si khushbu se mahakti hai faza jab tu aata hai bahut shor machati hai hawa kin guzargahon ke hain gard-o-ghubar aankhon mein roz patjhad ke hamein khwab dikhati hai hawa zindagi jalta hua ek diya hai 'anjum' dekhna ye hai kahan ja ke bujhati hai hawa