kya khabar apne thikane ki taraf laut aae khud-ba-khud tir nishane ki taraf laut aae sang laut aae pahadon ki taraf aakhir-kar aaine aaina-khane ki taraf laut aae jab khula un pe ki naqsha mere sanduq mein hai aur kuchh sanp khazane ki taraf laut aae raat badmast rahe sabit-o-sayyar ke sath subh hote hi zamane ki taraf laut aae gara tayyar hai aur chaak bhi maujud hai ab kuza-gar kuza banane ki taraf laut aae hijr ko jhelna aasan kahan tha ai dil hum mohabbat mein bahane ki taraf laut aae bhik is shahr mein milna koi aasan nahin yani majbur kamane ki taraf laut aae aur phir dasht-e-tamanna mein bhatakte hue log aarzu-mand thikane ki taraf laut aae apna kirdar nibhane ki tag-o-taz mein 'zeb' hum kahani se fasane ki taraf laut aae