raat ki bhigi palkon par jab ashk hamare hanste hain sannaton ke sanp dilon ki tanhai ko daste hain kal tak mai-khane mein jin ke nam ka sikka chalta tha qatra qatra mai ki khatir aaj wo log taraste hain ai mere majruh tabassum rup-nagar ki rit na puchh jin ke sinon mein patthar hain un par phul baraste hain shahr-e-hawas ke saudai khud jin ki ruhen nangi hain mere tan ki uryani par aawaze kyun kaste hain chhin sakega kaun saba se lams hamari sanson ka hum phulon ki khushbu ban kar gulzaron mein baste hain ashkon ki qimat kya jaanen pyar ke jhute saudagar in sayyal naginon se to hire moti saste hain kaun aaega nange pairon shama jala kar sham dhale 'prem' mohabbat ki manzil ke bade bhayanak raste hain