raat ki sari haqiqat din mein uryan ho gai khwab ki tabir padh kar aankh hairan ho gai har nafs sail-e-hawadis har qadam amwaj-e-gham zindagi is daur mein tufan hi tufan ho gai aarzu-dar-arzu badhti gain mahrumiyan har tamanna rafta rafta dushman-e-jaan ho gai kitni be-mani rifaqat abr ke tukdon mein thi dekh kar mere gharaunde barq-o-baran ho gai wo tere bachpan ki chingari bhi thi mausam-shanas jab jawan hone ke din aae farozan ho gai soz-e-dil dard-e-jigar khun-e-tamanna ashk-e-gham ek laghzish kitne afsanon ka unwan ho gai