raat kyon mukhtasar nahin hoti hijr ki kyon sahar nahin hoti jo guzarti hai hijr mein mujh par kya unhen kuchh khabar nahin hoti zindagi kyon wabaal hai yaro chain se kyon basar nahin hoti hasraten dil mein hain bahut lekin koi bhi bar-war nahin hoti lag se jo pade kisi shai par wo nazar be-asar nahin hoti kab kiya hai use nazar-andaz us ko ye kyon khabar nahin hoti kuchh dua mein asar na ho to na ho baddua be-asar nahin hoti khaliq-e-juzw-o-kul idhar bhi dekh kyon tawajjoh idhar nahin hoti tum se aashufta-sar ki ai 'khawar' baat kuchh mo'atabar nahin hoti