tamam aish-o-tarab hain faqat usi ke liye

tamam aish-o-tarab hain faqat usi ke liye
khirad se kaam liya jis ne zindagi ke liye

ye irtiqa-e-khirad hai ki intiha-e-junun
junun-nawaz bane hain jo aagahi ke liye

chamak rahe hain jo qatraat-e-khun sar-e-mizhgan
ye ehtimam-e-charaghan hai aap hi ke liye

jahan guman bhi ho aap ke guzarne ka
wahin jhuka diya sar main ne bandagi ke liye

mah-o-nujum pe dali gai kamand-e-shuur
ye iltizam hai do din ki zindagi ke liye

ye jashn-e-aish-o-tarab aap hi ke dam se hai
hue hain aap to paida hi dilbari ke liye

lahu se apne jala kar charagh aankhon mein
harim-e-dil ko sajaya hai aap hi ke liye

usi ke waste chamke hain kaukab-e-taqdir
charagh-e-hosh bhi raushan hai aadmi ke liye

samajh saka na anal-haq ke raaz ko 'khawar'
ye ek khel tha irfan ke muntahi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close