raat mein aaftab na-mumkin yani tabir-e-khwab na-mumkin pyar ki bastiyan basa kar khud dil ho khana-kharab na-mumkin ranj-o-gham zindagi ki sachchai zindagi ek sarab na-mumkin mujh se aaina kal ye kahta tha tum aur aali-janab na-mumkin ye alag baat thoda talkh sahi warna sach ka jawab na-mumkin ho qalam-zad aaine ki tarah koi aisi kitab na-mumkin ai 'jamil' us ke ba'd duniya mein ho koi la-jawab na-mumkin